June 14, 2009 , Subha 8:30 baje ,Roma gharse MBA ka aakhri exam dene jarahi thi .."Acha mummy papa ji main ,main nikalti hu.."Aaj mera aakhri paper hai ,Roma ne khushi se kaha ." Haan beteh ache se dekar ana "papa ne ,gale lagate huye kaha ." Paper toh kathin tha ,lekin ,pass toh ho he jayenge ", Roma ne haste huye apni saheli, sasmita se kaha. Paper dekar ,Roma jab ghar gai toh dekha ki mummy kuch pakode tal rahin thin, "Roma ,acha hai tu agai , chal fataft se chai rakhde aur tyaar hoja , tujhe ladke wale dekhne arahe hain " mummy ne chinta janak awaz mein kaha. 

Roma jaise chup c hogai  , kya sachmei mujhe ye ghar chod kar ek din jana padega ? kya apne papa mummy jaise koi aur mera khyaal rakh sakta hai ? , Roma mun he mun soch rahi thi ..Tabhi darwaze par khat khat hui , "Roma bahar aao , tumhe chai ander leke jaani hai , wo log tumhara intzaar karahe hain ", mummy ne kaha . Sub ek dusre se baatein karahe the , Roma nazre jhukaye ,ander he ander apne dard ko chpuarahi thi.." Aap hamari tarf se haan he  samjhiye " , ye kehkar ladke k mata pita waha se chale gaye ." kaise karenge itna sub ,itne kam time mein, dahej bnana hai , rsihtedaron ki list bhi bnani hai , kalse he sub shuru karna hoga hume ", mummy ,papa se kehte jarahin thin. Sub sone chale gaye lekin Roma chinta k maare puri raat karwate badalti jarahi thi .

Sub tyarian shuru hogai. Kaise koi apne jigar k tukde ko , apne se alag kardeta hai ?  

Kaise apni kookh mein 9 mahine rakhne wali maa, apni he bachi ki zimmedaari kisi aur ko dedeti hai ? Roma k mun mein aise kai sawal arahe the .

12, december ,2009 , aakhir wo din aa he gaya tha jab ,1 pita apni beti k haath peeleh ,use kisi aur k haatho saump deta hai. "Apna aur mummy ka dhyaan rakhna papa " ,Roma ne rote huye kaha ." Haan Roma tum bhi apna dhyaan rakhna , subka kehna maanna , mil julkar subse rehna , bhagwan tumhe khoob kushian de ",ye kehkar papa ne Roma ko vidah kiya.

Samaye beetta chala gaya , Roma ki shadi ko 12 saal ho chale the ,  Roma ab na he 1 patni aur bahu thi balki 2 pyaare se bacho ki maa bhi thi ." Aaj itne saalo k baad papa mummy hamare yaha rehne i hain, Roma bahut khush thi , usne jab bacho ko btaya tha to bache bhi khushi se jhumne lage the , "nana,naani ji agaye ,nana,naani ji agaye " .

" Puri zindagi mummy papa naukri mein lage rahe ,aaj jaakar wo yaha rahe hain hamare pass ,kya hum unki ticket age badha sakte hain , mera mun nahi karaha unhe abhi yaha se vidah dene ka " Roma ne apne pati se kaha.

"Haan karsakte hain ,lekin wo itne din rahenge nahi ,jitne paise lagjayenge ",ye baat sunkar ,Roma ki ankhein bhar i , "haan aap sahi kehrahe ho" ye kehte huye Roma waha se chali toh gai lekin ,apne sawalo k jawab wo khud bhi na dhund pai..ki main kyu nahi kama rahi ..kaash 2 paise main bhi kama rahi hoti toh aaj khud he papa mummy ko rok leti..kya isi din k liye unhone mujhe bada kia ki main 1 ticket tak apne balpe na kharid paiunke liye..

Papa mummy k ghar jaate he maano mun bahut udaas hogaya tha , kya yahi rehjaati hai 1 ladki ki zaindagi ,1 patni,1 maa ,1 bahu,1 bhabi yahi sub nibhane mein ,kab wo khud k liye jee ya apne mata pita k liye ..Jab mata pita k liye kuch karne ka waqt aya toh wo apne he gharse vidah hogai..

KYA MAIN PARAI HU ? 

BETI PARAI YA PARAYE GHAR SE I HU ?

KYA YE LADKI PARAYE GHARSE I HAI ?

TOH FIR 1 LADKI KA GHAR HAI KAHAN ??

KYU USKO APNE HE MATA PITA KO APNE PASS RAKHNE K LIYE KISI AUR SE EJAAZAT LENI PADHTI HAI?

15 he din beeteh the ki papa k swargwas hone ki khabar mili , "uff ye main kya sun rahi hun , kyu akhir kyu maine papa mummy ko yaha nahi roka ", Roma zor zor se rone lagi...

AAJ SACHMEIN MAIN PARAI HOGAI PAPA !

SACHMEIN PARAI HOGAI !

 

 

Like it on Facebook, Tweet it or share this topic on other bookmarking websites.
No replies found for this topic.
You do not have permissions to reply to this topic.